Alfaaz Kabhi Hum Thay
Alfaaz Kabhi Kum Thay
Alfaaz kabhi Sang Sang Thay
Alfaaz kabhi Har Rang Thay
Alfaaz Kabhi Pal Pal Thay
Kabhi Har Pal Thay
Kabhi Khwab Sajate Lamhey Thay
Kabhi Saath Jeene Marne Ki Kasmein Thay
Kabhi Bayaan Karte Tera-Mera Saath Thay
Kabhi Tere-Mere Dil Ki Aawaaz Thay
Kabhi Apne Rishtey Ka Pyaara Sa Ahsaas Thay
Or Alfaaz Sahi Mein Alfaaz Thay
Jab Hum-Tum Saath Thay
Par Aaj Wahi Alfaaz Tere Ajnabi Honey Ka Ehsaas Karatey Hain
Jin Alfaazon Mein Kabhi Khushi Thi, Wahi Aaj Rulatey Hain
Or Aaj Akele Ladte Huey In Alfaazoien Se
Hum-Tum Ki Beech Ki Deewaron Se
Aaj Woh Alfaaz, Alfaazoen Ko Tarastey Hain
Rotey Hain Hum, Or Alfaaz Aankhon Kay Reshtey Barastey Hain
Aaj Shabd Toh Hain Mere Pass,
Par Unhe Sajane Ke Vaaste Alfaaz Nahin
Isliye Likh raha Hun Apne Dil Kay Jazbaat
Ki Shayad Mere Likhe Ko Kabhi Alfaaz Doge Tum Kahin
Par Jab Samjhoge Mere Bedard Dard Ko
Mere Sabdo Se Tum, Rona Nahin Hamari Kasam
Kyon ki Tab Tak Alfaaz kho Chuke Honge Hum.
4 comments:
i love your words, write more novels about youths!
cheer up!
KAYI
i love your words, write more novels about youths!
cheer up!
KAYI, hongkong,CHINA
Cool Buddy.Very very cool.I love to read and see ur words.Commmon write some books about(u know)........
All the best.
Work from home India
Hi Nagesh,
Yeah, I'm Trying 2 More But Looking For A Publisher For My First Novel...And That's The Main Priority....Hope 1 Will Find Her/His Heartbeats In My Words....
Post a Comment